Pages

Tuesday, June 9, 2015

Roze ki niyyat ka waqt


Bismillahirrahmanirrahim

1) Ramzaan Shareef aur sunnat wa nafl rozon ki niyyat ka waqt guroob-e-aaftaab se le kar aadhe din tak hai, albatta subah saadiq se pehle hi niyyat kar lena afzal hai. Lihaaza agar koi shakhs sehri ka waqt khatm hone ke baad neend se bedaar huwa to woh bhi bagair khaaye piye rozah rakh sakta hai. (Shaami: 7/332, Kitaabus Saom)

Note: Aadhe din se muraad subah Saadiq se guroob-e-aaftaab tak ka aadha din hai. Is ko "Zahwa-e-Kubra" bhi kehte hain. Misaal ke taur par agar chhe baje guroob-e-aaftaab ho, to poora din baarah ghante ka hoga aur aadha din baarah baje hoga. (Shaami: 7/335, Kitaabus Saom)

2) Ramzaan Shareef ke qaza rozon, nafl ke qaza rozon aur kaffaare ke rozon mein subah Saadiq se pehle hi niyyat karna zaroori hai. Agar subah Saadiq ke baad in rozon mein se kisi roze ki niyyat karega to woh rozah ada na hoga. Albatta yeh ek nafl rozah ho jaayega aur nafl roze ka sawaab mil jaayega. (Shaami: 7/341, 342, Kitaabus Saom)

0 comments:

Post a Comment