Pages

Monday, June 29, 2015

Sehri


Bismillahirrahmanirrahim

Rozah rakho sehat mand rahoge


Bismillahirrahmanirrahim

Thursday, June 25, 2015

Roze ki Haalat mein Ehtelaam ho jaana


Bismillahirrahmanirrahim

Roze ki Haalat mein Injection lagwaana


Bismillahirrahmanirrahim

Roze ki Haalat mein Aankhon mein Surmah lagaana


Bismillahirrahmanirrahim

Halaq Mein paani Chalaa Jaaye


Bismillahirrahmanirrahim

Roze ki Haalat mein Miswaak karna


Bismillahirrahmanirrahim

Roze ki Haalat mein Khoon Test karwaana


Bismillahirrahmanirrahim

Wednesday, June 24, 2015

Roze ke Mufsidaat


Bismillahirrahmanirrahim

⭐ Woh cheezein jin se rozah toot jaata hai

1) Kisi ne zabar dasti rozedaar ke munh mein koi cheez daal di aur woh halaq se neeche utar gai.
Ref: (Shaami: 7/415, Baabu Maa Yufsidus Saum)

2) Rozah yaad tha aur kulli karte waqt bila qasd wa iraada halaq mein paani chala gaya.
Ref: (Shaami: 7/415, Baabu Maa Yufsidus Saum)

3) Qaye aayi to use jaan boojh kar nigal liya.
Ref: (Shaami: 7/461, Baabu Maa Yufsidus Saum)

4) Munh bhar ke jaan boojh kar qaye karna.
Ref: (Shaami: 7/461, Baabu Maa Yufsidus Saum)

5) Kankar, kaagaz, rubber, guthhli ya us jaisi cheez nigal lena.
Ref: (Shaami: 7/424, Baabu Maa Yufsidus Saum)

6) Daanton mein chane ke baraabar phansi hui cheez ko nigal lena.
Ref: (Shaami: 7/466, Baabu Maa Yufsidus Saum)

7) Daanton mein chane ki miqdaar se kam koi cheez phansi hui thi, use munh se nikaalna aur phir kha lena.
Ref: (Shaami: 7/466, Baabu Maa Yufsidus Saum)

8) Kaan, Naak mein tel ya dawa daalna.
Ref: (Shaami: 7/421, Baabu Maa Yufsidus Saum)

9) Naak ke zariye kisi cheez ko is tarah andar lena ke woh cheez dimaag ya pet tak pahonch jaaye, jaise chheenkni ya niswaar wagaira ko naak se chadhaana.
Ref: (Shaami: 7/421, Baabu Maa Yufsidus Saum)

10) Dawa ko bhaap ki shakl mein munh ya naak se kheenchna, khwaah machine ke zariye ho, jaise inhaler ya gas pump ka istemaal karna ya bhapaara lena.
Ref: (Shaami: 7/421, Baabu Maa Yufsidus Saum)

11) Peshaab ya paakhaane ke raaste se dawa daalna.
Ref: (Shaami: 7/421, Baabu Maa Yufsidus Saum)

12) Subah Saadiq ke baad yeh khaayaal kar ke ke abhi waqt baaqi hai, sehri kha li, phir maaloom huwa ke subah ho chuki thi, to rozah nahin hoga.
Ref: (Shaami: 7/439, Baabu Maa Yufsidus Saum)

13) Abr ya gubaar ki wajah se sooraj ka guroob hona maaloom na ho saka aur yeh khayaal kar ke ke sooraj guroob ho chuka hai iftaar kar liya, phir maaloom huwa ke abhi din baaqi hai to rozah nahin hoga.
Ref: (Shaami: 7/439, Baabu Maa Yufsidus Saum)

Ramzaan mein yeh dua padha karain


Bismillahirrahmanirrahim

Monday, June 22, 2015

Roze ki Haalat mein Kaan mein aur Naak mein Dawaa daalna


Bismillahirrahmanirrahim

Roze ki Haalat mein Thook


Bismillahirrahmanirrahim

Roze ki Haalat mein Qay


Bismillahirrahmanirrahim

Saturday, June 20, 2015

Tel Lagaane Se Rozah Nahin Toot'ta hai


Bismillahirrahmanirrahim

Friday, June 19, 2015

Rozeh ke makroohaat


Bismillahirrahmanirrahim

Rozeh ke makroohaat

1) Rubber ya us jaisi koi cheez chabaana ya koi aur cheez munh mein daale rakhna. (Fatawah Hindiya: 1/199, Albaabus Saalis Fiha Yakruhus Saaimu Wamaala yakruhu)

2) Koi cheez chakhna, magar jis aurat ka shohar bad mizaaj ho use zabaan ki nok se saalan ka namak chakh kar thook dena jaaiz hai.

(Fatawah Hindiya: 1/199, Albaabus Saalis Fiha Yakruhus Saaimu Wamaala yakruhu)

3) Kulli aur naak mein paani daalne mein mubaalga karna.

(Fatawah Hindiya: 1/199, Saalis Fiha Yakruhus Saaimu Wamaala yakruhu)

4) Munh mein bahot saara thook jama kar ke nigalna.
(Fatawah Hindiya: 1/199, Saalis Fiha Yakruhus Saaimu Wamaala yakruhu)

5) Rozeh ki haalat mein napaak rehna.
(Fatawah Hindiya: 1/199, Saalis Fiha Yakruhus Saaimu Wamaala yakruhu)

6) Tooth paste istemaal karna, koyla ya manjan daanto mein malna ya aurat ka is tarah hoton par surkhi lagaana ke us ke pet mein chale jaane ka andesha ho.

Roze Har Musalman Mard-o-Aurat par farz hain


Bismillahirrahmanirrahim

Niyyat Zabaan se kehna zaroori nahin hai


Bismillahirrahmanirrahim


Niyyat Zabaan se kehna zaroori nahin hai

Taraweeh 20 Rakaat


Bismillahirrahmanirrahim

Taraweeh 20 Rakaat

Wednesday, June 17, 2015

Naya Chaand Dekh Kar Yeh Du'aayen Padhein


Bismillahirrahmanirrahim

Tuesday, June 9, 2015

Roze ki niyyat ka waqt


Bismillahirrahmanirrahim

1) Ramzaan Shareef aur sunnat wa nafl rozon ki niyyat ka waqt guroob-e-aaftaab se le kar aadhe din tak hai, albatta subah saadiq se pehle hi niyyat kar lena afzal hai. Lihaaza agar koi shakhs sehri ka waqt khatm hone ke baad neend se bedaar huwa to woh bhi bagair khaaye piye rozah rakh sakta hai. (Shaami: 7/332, Kitaabus Saom)

Note: Aadhe din se muraad subah Saadiq se guroob-e-aaftaab tak ka aadha din hai. Is ko "Zahwa-e-Kubra" bhi kehte hain. Misaal ke taur par agar chhe baje guroob-e-aaftaab ho, to poora din baarah ghante ka hoga aur aadha din baarah baje hoga. (Shaami: 7/335, Kitaabus Saom)

2) Ramzaan Shareef ke qaza rozon, nafl ke qaza rozon aur kaffaare ke rozon mein subah Saadiq se pehle hi niyyat karna zaroori hai. Agar subah Saadiq ke baad in rozon mein se kisi roze ki niyyat karega to woh rozah ada na hoga. Albatta yeh ek nafl rozah ho jaayega aur nafl roze ka sawaab mil jaayega. (Shaami: 7/341, 342, Kitaabus Saom)

Roze ki niyyat


Bismillahirrahmanirrahim

Roze ke sahi hone ke liye niyyat shart hai. Roze ki niyyat yeh hai ke apne dil mein Allah Ta'ala ki raza haasil karne ke liye rozah rakhne ka iraada kare. Zabaan se kehna zaroori nahin. (Shaami: 7/341, kitaabus Saom)

Roze ki fazeelat


Bismillahirrahmanirrahim

Allah Ta’ala ka irshaad hai (Qur'an Translation): Aye imaan waalo ! Tum par roze farz kar diye gaye hain, jis tarah tum se pehle logon par farz kiye gaye the, taake tumhaare andar taqwa paida ho. (Sura-e-Baqarah: 183)

Hadees Shareef mein hai ke Huzoor-e-Aqdas ﷺ ne irshaad farmaaya: Aadmi ke har achchhe amal ka sawaab das guna se saat sau guna tak badha diya jaata hai siwaaye roze ke, us ke baare mein Allah Ta'ala irshaad farmaata hai ke woh bande ki taraf se khaas mere liye ek tohfa hai aur main hi apni marzi ke mutaabiq us ka inaam wa sawaab doonga, mera banda meri raza ke waaste apni khwaahish-e-nafs aur apna khaana peena chhod deta hai. Rozedaar ke liye do khushyaan hain: Ek iftaar ke waqt aur doosri Allah Ta'ala se mulaaqaat ke waqt aur rozedaar ke munh ki boo Allah Ta'ala ke nazdeek mushk ki khushbu se behtar hai. (Muslim: 2763)

Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo aadmi sharai uzr aur beemari ke bagair Ramazaan ka ek rozah bhi chhod de, phir woh us ki jagah umr bhar bhi roze rakhe, to jo cheez faut ho gai woh poori ada nahin ho sakti. (Muslim: 2763)

Friday, June 5, 2015

Rozah kis par farz hai?


Bismillahirrahmanirrahim

Rozah kis par farz hai?

Ramzaan Shareef ke roze har musalman aaqil, balig, mard-o-aurat par farz hain. (In ki farziyat ka inkaar karne waala kaafir aur bila uzar chhodne waala sakht gunehgaar aur faasiq hai).

     Agarche naabaalig par rozah farz nahin, lekin aadat daalne ke liye baalig hone se pehle hi se rozah rakhwaane aur namaaz padhwaane ka hukm hai.