Pages

Wednesday, June 24, 2015

Roze ke Mufsidaat


Bismillahirrahmanirrahim

⭐ Woh cheezein jin se rozah toot jaata hai

1) Kisi ne zabar dasti rozedaar ke munh mein koi cheez daal di aur woh halaq se neeche utar gai.
Ref: (Shaami: 7/415, Baabu Maa Yufsidus Saum)

2) Rozah yaad tha aur kulli karte waqt bila qasd wa iraada halaq mein paani chala gaya.
Ref: (Shaami: 7/415, Baabu Maa Yufsidus Saum)

3) Qaye aayi to use jaan boojh kar nigal liya.
Ref: (Shaami: 7/461, Baabu Maa Yufsidus Saum)

4) Munh bhar ke jaan boojh kar qaye karna.
Ref: (Shaami: 7/461, Baabu Maa Yufsidus Saum)

5) Kankar, kaagaz, rubber, guthhli ya us jaisi cheez nigal lena.
Ref: (Shaami: 7/424, Baabu Maa Yufsidus Saum)

6) Daanton mein chane ke baraabar phansi hui cheez ko nigal lena.
Ref: (Shaami: 7/466, Baabu Maa Yufsidus Saum)

7) Daanton mein chane ki miqdaar se kam koi cheez phansi hui thi, use munh se nikaalna aur phir kha lena.
Ref: (Shaami: 7/466, Baabu Maa Yufsidus Saum)

8) Kaan, Naak mein tel ya dawa daalna.
Ref: (Shaami: 7/421, Baabu Maa Yufsidus Saum)

9) Naak ke zariye kisi cheez ko is tarah andar lena ke woh cheez dimaag ya pet tak pahonch jaaye, jaise chheenkni ya niswaar wagaira ko naak se chadhaana.
Ref: (Shaami: 7/421, Baabu Maa Yufsidus Saum)

10) Dawa ko bhaap ki shakl mein munh ya naak se kheenchna, khwaah machine ke zariye ho, jaise inhaler ya gas pump ka istemaal karna ya bhapaara lena.
Ref: (Shaami: 7/421, Baabu Maa Yufsidus Saum)

11) Peshaab ya paakhaane ke raaste se dawa daalna.
Ref: (Shaami: 7/421, Baabu Maa Yufsidus Saum)

12) Subah Saadiq ke baad yeh khaayaal kar ke ke abhi waqt baaqi hai, sehri kha li, phir maaloom huwa ke subah ho chuki thi, to rozah nahin hoga.
Ref: (Shaami: 7/439, Baabu Maa Yufsidus Saum)

13) Abr ya gubaar ki wajah se sooraj ka guroob hona maaloom na ho saka aur yeh khayaal kar ke ke sooraj guroob ho chuka hai iftaar kar liya, phir maaloom huwa ke abhi din baaqi hai to rozah nahin hoga.
Ref: (Shaami: 7/439, Baabu Maa Yufsidus Saum)

0 comments:

Post a Comment