Pages

Tuesday, June 9, 2015

Roze ki fazeelat


Bismillahirrahmanirrahim

Allah Ta’ala ka irshaad hai (Qur'an Translation): Aye imaan waalo ! Tum par roze farz kar diye gaye hain, jis tarah tum se pehle logon par farz kiye gaye the, taake tumhaare andar taqwa paida ho. (Sura-e-Baqarah: 183)

Hadees Shareef mein hai ke Huzoor-e-Aqdas ﷺ ne irshaad farmaaya: Aadmi ke har achchhe amal ka sawaab das guna se saat sau guna tak badha diya jaata hai siwaaye roze ke, us ke baare mein Allah Ta'ala irshaad farmaata hai ke woh bande ki taraf se khaas mere liye ek tohfa hai aur main hi apni marzi ke mutaabiq us ka inaam wa sawaab doonga, mera banda meri raza ke waaste apni khwaahish-e-nafs aur apna khaana peena chhod deta hai. Rozedaar ke liye do khushyaan hain: Ek iftaar ke waqt aur doosri Allah Ta'ala se mulaaqaat ke waqt aur rozedaar ke munh ki boo Allah Ta'ala ke nazdeek mushk ki khushbu se behtar hai. (Muslim: 2763)

Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo aadmi sharai uzr aur beemari ke bagair Ramazaan ka ek rozah bhi chhod de, phir woh us ki jagah umr bhar bhi roze rakhe, to jo cheez faut ho gai woh poori ada nahin ho sakti. (Muslim: 2763)

0 comments:

Post a Comment