Pages

Saturday, July 18, 2015

Eid-ul-Fitr ke sunnatein aur Namaz-e-Eid ka Tareeqa


Bismillahirrahmanirrahim

Eid ke Din Ek Dusre ko Is Tarah Mubaarakbaadi De


Bismillahirrahmanirrahim

Friday, July 17, 2015

Eid ke Din Ek Dusre ko Is Tarah Mubaarakbaadi De


Bismillahirrahmanirrahim

Thursday, July 16, 2015

Eid-ul-Fitr ki Namaaz ki tarteeb


Bismillahirrahmanirrahim

Eid-ul-Fitr ki Namaaz ki tarteeb

⭐ Sab se pehle dil mein is tarah niyyat kare ke main Eidul Fitr ki do rakat namaaz imaam ke peechhe Allah ke liye ada kar raha hoon. Agar imaam ho to namaaz padhaane ki niyyat kare. Phir donon haath kaanon tak uthhaaye aur “Allahu Akbar” kehte huwe haath baandh le. Phir sana padhe, jab sana padh chuke to donon haath kaanon tak uthhaaye aur “Allahu Akbar” kehte huwe neeche chhod de, phir doosri martaba donon haath kaanon tak uthhaaye aur “Allahu Akbar” kehte huwe neeche chhod de, phir teesri martaba donon haath kaanon tak uthhaaye aur “Allahu Akbar” kehte huwe baandh le, phir imaam Ta'awwuz (A'oozubillaahi minash shaitaanirrajeem), Tasmiyah (Bismillaahirrahmaanirraheem), Sura-e-Faatiha aur Surah padhe aur muqtadi khaamoshi se sunein, phir ruku sajda kare, yeh ek rakat hui.

Jab doosri rakat ke liye khade hon, to imaam Tasmiyah, Sura-e-Faatiha aur Surah padhe, muqtadi khaamoshi se sunein. Surah padhne ke baad “Allahu Akbar” kehte huwe donon haath kaanon tak uthhaaye aur neeche chhod de, isi tarah doosri aur teesri martaba “Allahu Akbar” kehte huwe haath kaanon tak uthhaaye aur chhod de, phir chauthi martaba bagair haath uthhaaye “Allahu Akbar” kehte huwe ruku mein chala jaaye, baqiya namaaz aam namaazon ki tarah mukammal kare, aur dua maange.

Phir imaam do khutbe de aur khutbe mein Takbeer-e-Tashreeq ziyaada padhe, pehle khutbe ke shuru mein 9 martaba aur doosre khutbe ke shuru mein 7 martaba musalsal takbeer padhna mustahab hai, muqtadi itmenaan se khutba sunein, khutba sunna waajib hai. (Shaami: 6/158, 168, Baabu Eidain)

Takbeer-e-Tashreeq: “Allahu Akbar Allahu Akbar laa ilaaha illallaahu Wallaahu Akbar Allahu Akbar wa lillaahil hamd”

Wednesday, July 15, 2015

Eid-ul-Fitr ki Sunnatein


Bismillahirrahmanirrahim

Bimaari ya kisi uzr ki wajah se Ramzaan ke Roze Qaza


Bismillahirrahmanirrahim

Sha'abaan ke dinon ko ginte raha karo


Bismillahirrahmanirrahim

Roze ki Haalat mein Jaan boojh Qay ki


Bismillahirrahmanirrahim

Ramzaan ka Chand


Bismillahirrahmanirrahim

Ramzaan ki Pehli Raat


Bismillahirrahmanirrahim

Ramzaan Me 4 chinzon ki Kasrat Rakhein


Bismillahirrahmanirrahim

Sawaab ki niyyat se Ramzaan ke Roze rakhe


Bismillahirrahmanirrahim

Roze ki Haalat mein baatil kalaam aur Naa jaaiz


Bismillahirrahmanirrahim

Mo'halle ki masjid me kam se kam ek aadmi Etikaaf me baithhe


Bismillahirrahmanirrahim

Ramzaan ke 10 dinon ka Etikaaf


Bismillahirrahmanirrahim

Ek din ka Etikaaf


Bismillahirrahmanirrahim

Monday, July 13, 2015

Sadqa-e-Fitr


Bismillahirrahmanirrahim

Sadqa-e-Fitr ke Masail

Eid-ul-Fitr ke din jo sadqa gareebon ko dena waajib hai, use “Sadqa-e-Fitr” kehte hain.

Sadqa-e-Fitr kis par Waajib hai?

Sadqa-e-Fitr har aise musalmaan mard aur aurat par waajib hai jo Eid-ul-Fitr ke din nisaabe Zakaat ka maalik ho ya us ke paas nisaab ki qeemat ke baqadr istemaal se zaaid kapde, bartan, furniture, zeb-o-zeenat aur aaraaish ka saamaan ya zaroorat se ziyaada makaan ya zameen ho, khwaah us par saal na guzra ho. (Shaami: 7/273, Baabu Sadqatil Fitr)

Masla: Jis shaks par Sadqa-e-Fitr waajib ho, woh apni taraf se aur apni naabaalig aulaad ki taraf se Sadqa-e-Fitr ada kare. (Shaami: 7/281, Baabu Sadqatil Fitr)

Masla: Agar zaroorat se zaaid makaan kiraaye par diya huwa ho aur us ke kiraaye par guzar auqaat ho to us ki wajah se Sadqa-e-Fitr waajib na hoga aur agar zarooriyaate Zindagi doosre zaraaye se haasil hojaati hon to us ki wajah se Sadqa-e-Fitr waajib hoga. (Shami: 7/238, 239, Baabu Masrafiz Zakaat)

Thursday, July 9, 2015

Etikaaf Karne Waala


Bismillahirrahmanirrahim

Raat bhar Ibaadat mein Mashgool


Bismillahirrahmanirrahim

Shab-e-Qadr Paalon To Us me kiya Dua Maangoon


Bismillahirrahmanirrahim

Wednesday, July 8, 2015

Shab-e-Qadr


Bismillahirrahmanirrahim

Sura-e-Qadr

Allah Subhanahu wa Ta'ala farmaata hai (Tarjama):

1) Beshak hum ne Qur'an-e-Paak ko Shab-e-Qadr mein utaara hai.

2) Aapko kuchh maa'loom bhi hai, ke Shab-e-Qadr kaisi badee cheez hai ?

3) Shab-e-Qadr hazaar maheenaon se behtar hai.

4) Iss raat mein farishte utarte hain.

5) Aur iss raat mein Roo'h-ul-Qudus.

6) Apne Parwardigaar ke Hukum se har amr-e-khair ko lekar zameen ki taraf utarte hain.

7) Woh raat saraapa Salaam hai.

8) Woh raat (in hi barakaat ke saath) tamaam raat tuloo'fajar tak rahti hai.

Saturday, July 4, 2015

Rasoolullaah ﷺ Akheer Ashre Me Etikaaf Farmaaya Karte The


Bismillahirrahmanirrahim

Isha ki Namaaz Adaa Kare phir Taraaveeh


Bismillahirrahmanirrahim

Friday, July 3, 2015

Khajoor Se Iftaar Kare


Bismillahirrahmanirrahim

Allah Ta'ala ko khush karne ke liye Rozah rakhein


Bismillahirrahmanirrahim

Hadees: Rasullulah ﷺ ne farmaaya: Jo shakhs sachche dil se Allah Ta'ala ko khush karne ke liye Rozah rakhega Allah Ta'ala us ke pichhle gunaah maaf farma deinge. (Bukhari: 38)

Rozedaar Jannat mein Rayyaan darwaaze se daakhil honge


Bismillahirrahmanirrahim

Hadees: Rasullulah ﷺ ne farmaaya: “Rozedaar Jannat mein us darwaaze se daakhil honge jis ka naam “Rayyaan” hai”. (Bukhari: 1896)

Roze ka Ajr


Bismillahirrahmanirrahim

Hadees: Allah Ta'ala farmaata hai: “Har neki ka ajar das guna se saat sau guna tak hota hai lekin Rozah khaas mere liye hai is liye main jitna chaahunga us ka ajr doonga” (Sunan Darmi: 1770)

Ramzaan ka maheena paa kar bhi apne gunaah na bakhshwaale


Bismillahirrahmanirrahim

Hadees: Rasullulah ﷺ ne farmaaya: “Jo shakhs Ramzaan ka maheena paa kar bhi apne gunaah na bakhshwaale woh bada bad naseeb hai” (Tirmizi: 3545)

Agar ek Rozah bhi chhod de


Bismillahirrahmanirrahim

Hadees: “Agar koi shakhs bila wajah Ramzaan ka ek Rozah bhi chhod de to phir umar bhar ke Roze bhi us ki baraabari nahin kar sakte” (Tirimizi: 723)