Pages

Thursday, June 1, 2017

Roze ke Mustahabbaat


Bismillahirrahmanirrahim

1) Sooraj guroob hone ke baad iftaar mein jaldi karna. (Bukhari: 1957)

2) Khajoor se iftaar karna, agar khajoor na ho to paani se iftaar karna. (Tirimizi: 695)

3) Iftaar ke waqt dua karna. (Ibne Maaja: 1753)

4) Sehri karna. (Bukhari: 1923)

5) Sehri karne mein taakheer karna. Albatta itni taakheer na karna ke subah saadiq ho jaane ka shak ho jaaye. (Tabraani Sageer: 279)

6) Subah Saadiq se qabl hi janaabat wagaira ka gusl kar lena taake tahaarat ki haalat mein rozah mukammal ho. (Shaami: 2/400, Baabu Maa Yufsidus Saom Wamaa La Yufsiduhu)

7) Kasrat se Qur'an ki tilaawat karna. (Bukhari: 6)

8) Kasrat se sadqa wa khairaat karna. (Bukhari: 6)

9) Jhoot, geebat, chugal khori aur gaali galoch se apni zabaan ki hifaazat karna. (Bukhari: 1903)

10) Lazzat bakhsh cheezon se apne nafs ko bachaana, chaahe woh halaal hi kyun na ho.

0 comments:

Post a Comment