Pages

Thursday, July 16, 2015

Eid-ul-Fitr ki Namaaz ki tarteeb


Bismillahirrahmanirrahim

Eid-ul-Fitr ki Namaaz ki tarteeb

⭐ Sab se pehle dil mein is tarah niyyat kare ke main Eidul Fitr ki do rakat namaaz imaam ke peechhe Allah ke liye ada kar raha hoon. Agar imaam ho to namaaz padhaane ki niyyat kare. Phir donon haath kaanon tak uthhaaye aur “Allahu Akbar” kehte huwe haath baandh le. Phir sana padhe, jab sana padh chuke to donon haath kaanon tak uthhaaye aur “Allahu Akbar” kehte huwe neeche chhod de, phir doosri martaba donon haath kaanon tak uthhaaye aur “Allahu Akbar” kehte huwe neeche chhod de, phir teesri martaba donon haath kaanon tak uthhaaye aur “Allahu Akbar” kehte huwe baandh le, phir imaam Ta'awwuz (A'oozubillaahi minash shaitaanirrajeem), Tasmiyah (Bismillaahirrahmaanirraheem), Sura-e-Faatiha aur Surah padhe aur muqtadi khaamoshi se sunein, phir ruku sajda kare, yeh ek rakat hui.

Jab doosri rakat ke liye khade hon, to imaam Tasmiyah, Sura-e-Faatiha aur Surah padhe, muqtadi khaamoshi se sunein. Surah padhne ke baad “Allahu Akbar” kehte huwe donon haath kaanon tak uthhaaye aur neeche chhod de, isi tarah doosri aur teesri martaba “Allahu Akbar” kehte huwe haath kaanon tak uthhaaye aur chhod de, phir chauthi martaba bagair haath uthhaaye “Allahu Akbar” kehte huwe ruku mein chala jaaye, baqiya namaaz aam namaazon ki tarah mukammal kare, aur dua maange.

Phir imaam do khutbe de aur khutbe mein Takbeer-e-Tashreeq ziyaada padhe, pehle khutbe ke shuru mein 9 martaba aur doosre khutbe ke shuru mein 7 martaba musalsal takbeer padhna mustahab hai, muqtadi itmenaan se khutba sunein, khutba sunna waajib hai. (Shaami: 6/158, 168, Baabu Eidain)

Takbeer-e-Tashreeq: “Allahu Akbar Allahu Akbar laa ilaaha illallaahu Wallaahu Akbar Allahu Akbar wa lillaahil hamd”

0 comments:

Post a Comment